اردو हिंदी
Zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain | Shaahi Shayari
zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain

Ghazal

Zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain

Imdad Imam Asar

;

zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain
dahan-e-zaKHm-e-qatil dam-ba-dam fariyaad karte hain

samajh kar kya asiran-e-qafas fariyaad karte hain
tawajjoh bhi kahin fariyaad par sayyaad karte hain

azab-e-qabr se pate hain rahat ishq ke mujrim
pas-e-murdan jafaen yar ki jab yaad karte hain

na kah bahr-e-KHuda tu bandagan-e-ishq ko kafir
buton ki yaad mein zahid KHuda ko yaad karte hain

zara sayyaad chal kar dekh tu kya haal hai un ka
asiran-e-qafas fariyaad par fariyaad karte hain

butan-e-sang-dil ke hath se dil hi nahin nalan
barabar dair mein naqus bhi fariyaad karte hain

banate hain hazaron zaKHm-e-KHandan KHanjar-e-gham se
dil-e-nashad ko hum is tarah pur-shad karte hain

mile lazzat jo iza se to baz aate hain iza se
sitam-ijad hain tarz-e-sitam ijad karte hain

'asar' ko dekh kar kya ruh ko sadma pahunchta hai
KHuda samjhe buton se kis qadar be-dad karte hain