zat ke karb ko lafzon mein dabae rakkha
mez par teri kitabon ko sajae rakkha
tu ne ek sham jo aane ka kiya tha wada
main ne din-raat charaghon ko jalae rakkha
kis saliqe se KHayalon ko zaban de de kar
mujh ko us shaKHs ne baaton mein lagae rakha
main wo sita ki jo lachhman ke hisaron mein rahi
hum wo jogi ki alakh phir bhi jagae rakkha
shayad aa jae kisi rose wo sajda karne
isi ummid pe aanchal ko bichhae rakkha
chuDiyan rakh na sakin meri namazon ka bharam
phir bhi hathon ko duaon mein uThae rakkha
jaane kyun aa gai phir yaad usi mausam ki
jis ne 'shabnam' ko hawaon se bachae rakkha

Ghazal
Zat ke karb ko lafzon mein dabae rakkha
Rafia Shabnam Abidi