zalim hai wo aisa ki jafa bhi nahin karta
raste se bichhaDne ka gala bhi nahin karta
har jurm-o-KHata se mere waqif hai wo phir bhi
tajwiz mare nam saza bhi nahin karta
insan hai wo koi farishta to nahin hai
hairat hai magar koi KHata bhi nahin karta
har shaKHs se wo hath mila leta hai rasman
lekin wo kabhi dil se mila bhi nahin karta
waise to bana rahta hai wo putla wafa ka
kya haal hai mera wo pata bhi nahin karta
is taur se us ne mujhe barbaad kiya hai
aise to zamane mein KHuda bhi nahin karta
'firdaus' se milna ho to maiKHane mein DhunDo
wo shaKHs to ab ghar mein raha bhi nahin karta
Ghazal
Zalim hai wo aisa ki jafa bhi nahin karta
Firdaus Gayavi