yusuf-e-husn ka husn aap KHaridar raha
pahle bazar-e-azal misr ka bazar raha
bismil-e-naz raha Kushta-e-raftar raha
zindagi bhar mujhe marne se sarokar raha
jurm-e-na-karda uqubat ka saza-war raha
shaiKH sarshaar-e-siyah masti-e-pindar raha
parda-e-chashm jo pas-e-adab-e-yar raha
main raha samne tu bhi pas-e-diwar raha
dil ye shadi-e-jarahat se hua baalida
ki tera tir yahan ta-lab-e-sufar raha
gir ke nazron se teri phir na zamin se uTTha
main subuk bhi jo hua tu bhi giran-bar raha
aaj hi aaj hai farda-e-qayamat maujud
do ghaDi aur jo hangama-e-raftar raha
tur tu barq-e-tajalli se hua KHakistar
aur main soKHta-e-hasrat-e-didar raha
rahm us sada-dili par ki mera zaKHm-e-jigar
ghair se chaara-o-darman ka talabgar raha
main wo ek mujrim-e-tazir talab hun ki sada
badle dushman ke uqubat ka saza-war raha
bas-ki dil mein rahi ek kashmakash yas-o-ummid
dard jo dil mein raha jaan se bezar raha
ab wo farda bhi nahin rose ki taskin ke liye
ab faqat hashr hi par wada-e-didar raha
pi bhi ja shaiKH ki saqi ki inayat hai sharab
main tere badle qayamat mein gunahgar raha
KHush hun chup rahne se un ke dam-e-paigham-e-visal
ki ye inkar to kuchh shamil-e-iqrar raha
sar pe phirta hi raha aur na gira mujh pe kabhi
aasman ban ke tera saya-e-diwar raha
garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina
ishq-e-barham zan-e-kashana-e-pindar raha
tum ne yun ghar mein to kya kuchh na uThae fitne
ek qayamat ka uThana sar-e-bazar raha
hae wo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-ada
wae wo dil ki tera mahram-e-asrar raha
main raha bhi to raha KHar ki surat ki sada
teri nazron mein subuk-dil pe tere yar raha
chashm par nashsha-e-saqi jo rahi aks-fagan
chur masti se har ek saghar-e-sarshaar raha
hun mein wo jins ki hun raunaq-e-bazar-e-kasad
hun wo sauda ki KHaridar bhi bezar raha
kuchh KHabar hoti to main apni KHabar kyun rakhta
ye bhi ek be-KHabari thi ki KHabar-dar raha
thak ke baiThe ho dar-e-sauma par kya 'anwar'
do-qadam aur ki ye KHana-e-KHummar raha
Ghazal
Yusuf-e-husn ka husn aap KHaridar raha
Anwar Dehlvi