yun zindagi ki hum ne siyah raat kaT di
bin chhat ke ghar mein jaise ki barsat kaT di
aata ho mulk-o-qaum ki izzat pe jis se harf
hum ne KHuda-gawah wo har baat kaT di
guzri jo nagawar hamare zamir ko
mil bhi gai to hum ne wo saughat kaT di
ban jae wajh-e-dushmani jo do gharon ke beach
bachchon ki hum ne aisi mulaqat kaT di
tufan mein bhi KHuda ke hawale rahi hayat
yun hans ke hum ne gardish-e-afat kaT di
tark-e-talluqat ka anjam soch kar
hum ne tamam umr tere sath kaT di
ahl-e-gharaz ki chalne na di koi hum ne chaal
matlab-parast logon ki har baat kaT di
jin se na kuchh mila hamein ruswai ke siwa
un doston ki hum ne mulaqat kaT di
'nayyar' ko le chali thi jo shahr-e-ghurur mein
hum ne wo rahguzar-e-KHurafat kaT di
Ghazal
Yun zindagi ki humne siyah raat kaT di
Nayyar Qureshi Gangohi