yun us pe meri arz-e-tamanna ka asar tha
jaise koi suraj ki tapish mein gul-e-tar tha
uThti thin darichon pe hamari bhi nigahen
apna bhi kabhi shahr-e-nigaran mein guzar tha
hum jis ke taghaful ki shikayat ko gae the
aankh us ne uThai to jahan zer-o-zabar tha
shanon pe kabhi the tere bhige hue ruKHsar
aankhon pe kabhi meri tarah daman-e-tar tha
KHushbu se moattar hai abhi tak wo guzargah
sadiyon se yahan jaise bahaaron ka nagar tha
hai un ke sarapa ki tarah KHush-qad o KHush-rang
wo sarw ka pauda jo sar-e-rahguzar tha
qatre ki tarai mein the tufan ke nasheman
zarre ke ahate mein bagulon ka bhanwar tha
is aadam-e-KHaki pe sitaron ki nazar thi
is KHak pe kuchh jalwa-e-yazdan ka asar tha
main roya to hansne ki sada aai kai yar
wo jaan-e-tamanna pas-e-diwar-e-nazar tha
'danish' tha ikahra mera pairahan-e-hasti
be-parda zamane pe mera aib-o-hunar tha
Ghazal
Yun us pe meri arz-e-tamanna ka asar tha
Ehsan Danish