yun ulajh kar rah gai hai tar-e-pairahan mein raat
be-dili ke sath ab utregi jaan-o-tan mein raat
khol kar baadal ke darwaze nikal aaya hai chand
gir paDi hai raqs karte karte phir aangan mein raat
baat kya hai kashtiyan khulti nahin sahil se kyun
KHwar o aawara si hai apne adhure-pan mein raat
kaam itne hain ki ab ye sochna bhi hai muhaal
kis kashakash mein kaTa din kaun si uljhan mein raat
luT le jate hain sab dhanwan din ki raushni
aur TukDe TukDe baT jati hai har nirdhan mein raat
kar gain chhiDkaw aankhen aaj 'shahin' is tarah
khil uThin murjhai kaliyon se bhare daman mein raat
Ghazal
Yun ulajh kar rah gai hai tar-e-pairahan mein raat
Shaheen Gazipuri

