اردو हिंदी
Yun tujhse dur dur rahun ye saza na de | Shaahi Shayari
yun tujhse dur dur rahun ye saza na de

Ghazal

Yun tujhse dur dur rahun ye saza na de

Ajiz Matvi

;

yun tujh se dur dur rahun ye saza na de
ab aur zinda rahne ki mujh ko dua na de

ab ehtiyat-e-shiddat-e-girya na puchhiye
Darta hun main wo sun ke kahin muskura na de

lo main ne dil ki us se lagai to hai magar
Dar hai ye sham-e-gham kahin daman jala na de

kahna to hai mujhe bhi hadis-e-gham-e-hayat
lab kholne ki kash ijazat zamana de

ho bijliyon ka mujh se jahan par muqabla
ya-rab wahin chaman mein mujhe aashiyana de

us dene wale ke yahan kis shai ki hai kami
tum mangne ki tarah jo mango to kya na de

hassas main bahut hun na lag jae dil ko Thes
mahfil mein muskura ke mujhe yun sada na de

main aashna-e-dard-o-gham-e-dil hun chaara-gar
jis se ifaqa ho mujhe aisi dawa na de

'ajiz' tamam umr main khata raha fareb
mujh ko meri wafaon ka aisa sila na de