yun to milne ko ek zamana mila
na mila han wo bewafa na mila
aashnai mein kuchh maza na mila
aashna dard-ashna na mila
jab mile wo khiche tane hi mile
lutf milne ka ek zara na mila
ham-nawa sab KHizan ke aate hi
aise patta hue pata na mila
kho ke dil ko hum is qadar KHush hain
jaise qarun ka KHazana mila
shad kya hun husul-e-jannat par
ki rupae mein se ek aana mila
aashiqi kya hai sach jo puchho to
hum ko marne ka ek bahana mila
zindagani thi ya pareshani
sab kiya aur kuchh maza na mila
roiye us ki bad-nasibi par
DhunDhne par jise KHuda na mila
mujh se milne mein kya burai hai
aap ke dil ka muddaa na mila
mil gaya dil jo hum se milna tha
aankh ab hum se to mila na mila
khich ke milna bhi koi milna hai
ek hai wo jo yun mila na mila
phir samai safi' se milne ki
kyun tumhein koi dusra na mila
qadr karta hun apni aap safi'
wah mujh ko bhi kya zamana mila

Ghazal
Yun to milne ko ek zamana mila
Safi Aurangabadi