yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi
lekin ab dekhiye koi hamein pahchane bhi
aashna rah mein katra ke guzar jate hain
apne hi shahr mein hum ho gae anjaane bhi
ab kahan jaen ki us se bhi talluq na raha
apna ghar yaad nahin band hain maiKHane bhi
fikr-e-daman hai na kuchh jaib-o-gareban ki KHabar
kitne aaram se hain aap ke diwane bhi
yun taaruf na sahi aap se lekin 'shahid'
sunte aae hain bahut aap ke afsane bhi

Ghazal
Yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi
Shahid Akhtar