yun to iKHlas mein is ke koi dhoka bhi nahin
kab badal jae magar is ka bharosa bhi nahin
kaT di waqt ne zanjir-e-talluq ki kaDi
ab musafir ko koi rokne wala bhi nahin
phir na yaadon ke kahin band dariche khul jaen
muddaton se teri taswir ko dekha bhi nahin
jal gaya dhup mein yaadon ka KHunuk saya bhi
be-nawa dasht-e-bala mein koi hum sa bhi nahin
thak gae hain mere nakaam iradon ke qadam
ab nigahon mein koi shauq ka sahra bhi nahin
aaine aks se mahrum nigah manzar se
ab ye tanhai ka aalam hai ki saya bhi nahin
ai meri umr ke mazur guzarte lamho
tum ne jate hue muD kar kabhi dekha bhi nahin

Ghazal
Yun to iKHlas mein is ke koi dhoka bhi nahin
Syeda Shan-e-Meraj