اردو हिंदी
Yun to hanste hue laDkon ko bhi gham hota hai | Shaahi Shayari
yun to hanste hue laDkon ko bhi gham hota hai

Ghazal

Yun to hanste hue laDkon ko bhi gham hota hai

Wali Aasi

;

yun to hanste hue laDkon ko bhi gham hota hai
kachchi umron mein magar tajraba kam hota hai

cigareten chae dhuan raat gae tak bahsen
aur koi phul sa aanchal kahin nam hota hai

is tarah roz hum ek KHat use likh dete hain
ki na kaghaz na siyahi na qalam hota hai

ek ek lafz tumhaara tumhein malum nahin
waqt ke khurdure kaghaz par raqam hota hai

waqt har zulm tumhaara tumhein lauTa dega
waqt ke pas kahan rahm-o-karam hota hai

fasla izzat o ruswai mein 'wali'-sahab
sunte aae hain ki bas chand qadam hota hai