yun qatl-e-am nau-e-bashar kar diya gaya
rasiKH tabiaton hi mein Dar kar diya gaya
tariKH surKH-ru hai inhin hadsat se
jin hadson se qat-e-nazar kar diya gaya
is Dar se jag uThe na kahin raste ki chap
kuchh qafilon ko shahr-badar kar diya gaya
sar dosh par raha na raha lekin aaKHirash
ye marka-e-saKHt bhi sar kar diya gaya
maqsud to tha husn-e-tulu-o-ghurub ka
parda miyan-e-sham-o-sahar kar diya gaya
alfaz dil ki aag se mahrum ho gae
jab shairi ko sirf hunar kar diya gaya
kuchh pattharon mein qaid rahe umr bhar 'zamir'
thi qabr asl mein jise ghar kar diya gaya

Ghazal
Yun qatl-e-am nau-e-bashar kar diya gaya
Syed Zameer Jafri