اردو हिंदी
Yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai | Shaahi Shayari
yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai

Ghazal

Yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai

Farrukh Jafari

;

yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai
dastaras aankh ki lekin kisi manzar tak hai

muD ke dekhun to taaqub mein wahi saya ho
bhul jaun mere hamrah koi ghar tak hai

main ki viran jazira hun basa de mujh ko
ai ki aqlim teri sat samundar tak hai

us ke aage mujhe be-samt-o-nishan jaana tha
main ne samjha tha safar aaKHiri patthar tak hai