yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf
hath jis tarah se aata hai gareban ki taraf
baiThe baiThe dil-e-gham-ghin ko ye kya lahr aai
uTh ke tufan chala dida-e-giryan ki taraf
dekhna lala-e-KHud-raw ka lahakna saqi
koh se dauD gai aag bayaban ki taraf
ro diya dekh ke aksar main bahaar-e-shabnam
hans diya dekh ke aksar gul-e-KHandan ki taraf
baat chhupti nahin paDti hain nigahen sab ki
us ke daman ki taraf mere gareban ki taraf
saikDon dagh-e-gunah dho gae rahmat se teri
kya ghaTa jhum ke aai thi gulistan ki taraf
chashm-e-aina pareshan-nazari sikh gai
dekhta tha ye bahut zulf-e-pareshan ki taraf
sar jhukae hue hai 'nazm' basan-e-KHama
samt sajde ki hai teri KHat-e-farman ki taraf
Ghazal
Yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf
Nazm tabaa-tabaa.ii