اردو हिंदी
Yun lagta hai sab kuchh khone aaya tha | Shaahi Shayari
yun lagta hai sab kuchh khone aaya tha

Ghazal

Yun lagta hai sab kuchh khone aaya tha

Mughni Tabassum

;

yun lagta hai sab kuchh khone aaya tha
main is ghar mein tujh ko rone aaya tha

tu mere hamrah to aaya tha lekin
tanhai ke kanTe bone aaya tha

main us ke didar se kab sairab hua
wo to bas daman ko bhigone aaya tha

main takta tha us ko pyase honTon se
baadal meri naw Dubone aaya tha

gahri nind se mujh ko jaga kar chhoD gaya
KHwab meri aankhon mein sone aaya tha