اردو हिंदी
Yun lage dard ki is dil se shanasai hai | Shaahi Shayari
yun lage dard ki is dil se shanasai hai

Ghazal

Yun lage dard ki is dil se shanasai hai

Sachin Shalini

;

yun lage dard ki is dil se shanasai hai
mausam-e-gham ki tabhi to ye lahar aai hai

toD kar rishta yun ilzam lagane wale
bewafa main hun agar tu bhi to harjai hai

chand nikla nahin tu bhi nahin dikhta ab to
raat hai main hun andhera hai ye tanhai hai

raaz tere jo chhupaun to ye dam ghuTta hai
baat kah dun jo zamane se to ruswai hai

jaan le kar wo gaya phir bhi 'sachin' zinda hun
baat mamuli nahin us ki masihai hai