yun KHush-guman rakkha gaya umar bhar mujhe
har sham se mali hai nawed-e-sahar mujhe
main tha jo hadd-e-jism se aage na baDh saka
wo le gaya badan se mere chhin kar mujhe
main zaea ho chuka hun bahut khel khel mein
ai waqt ab na aur laga daw par mujhe
mere liye qaza hai abhi daimi hayat
kuchh log chahte hain abhi TuT kar mujhe
hona hai mo'tabar mujhe apni nigah mein
kab e'tibar baKHshegi teri nazar mujhe
meri tarah 'nadim' use hichkiyan na aaen
jo sochta hai raat kai pichhle pahar mujhe

Ghazal
Yun KHush-guman rakkha gaya umar bhar mujhe
Nadeem Fazli