اردو हिंदी
Yun KHalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar | Shaahi Shayari
yun KHalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar

Ghazal

Yun KHalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar

Sultan Rashk

;

yun KHalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar
mere bare mein meri jaan is qadar socha na kar

bandagi ko log de lete hain kamzori ka nam
ijz achchha hai magar tu KHud ko naqsh-e-pa na kar

ho sake to dil mein paida kar mohabbat ka KHayal
ye muqaddas lafz sath-e-ab par likha na kar

reza reza ho rahe hain aaine iKHlas ke
apni aankhon se ye manzar dekh par shikwa na kar

de sake tujh ko kabhi teri wafaon ka jawab
us hawale se kabhi ruKH jaanib-e-duniya na kar

jin ki tabiren nahin mumkin kabhi sultan-'rashk'
ho sake to is tarah ke KHwab bhi dekha na kar