yun kahne ko pairaya-e-izhaar bahut hai
ye dil dil-e-nadan sahi KHuddar bahut hai
diwanon ko ab wusat-e-sahra nahin darkar
wahshat ke liye saya-e-diwar bahut hai
bajta hai gali-kuchon mein naqqara-e-ilzam
mulzim ki KHamoshi ka wafadar bahut hai
jab husn-e-takallum pe kaDa waqt paDe to
aur kuchh bhi na baqi ho to takrar bahut hai
KHud aaina-gar aaina chhoDe to nazar aae
dahka hua har shola-e-ruKHsar bahut hai
munsif ke liye izn-e-samaat pe hain pahre
aur adl ki zanjir mein jhankar bahut hai
Ghazal
Yun kahne ko pairaya-e-izhaar bahut hai
Zehra Nigaah