yun jo DhunDo to yahan shahr mein anqa nikle
chahne wala jo chaho to na-asla nikle
ji mein hai chir ke sina main nikalun dil ko
ta kisi Dhab se to pahlu ka ye kanTa nikle
maraz-e-ishq ye mohlik hai ki us ke Dar se
charKH-e-chaarm ye jo DhunDo to masiha nikle
hai yaqin gor pe gar meri to aa jawe kabhi
did ko teri mera qabr se murda nikle
jaan-kani mein hai taDapta dil-e-betab 'surur'
mere isa se kaho yahan bhi kabhi aa nikle
Ghazal
Yun jo DhunDo to yahan shahr mein anqa nikle
Rajab Ali Beg Suroor