اردو हिंदी
Yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai | Shaahi Shayari
yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai

Ghazal

Yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai

Navneet Sharma

;

yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai
kyun nahin sunta meri tu kuchh agar mera bhi hai

qatilon ko ab saza ho ya na ho lekin kisi
hashiye par ek bayan-e-muKHtasar mera bhi hai

main bhi jujha hun hawa se us kabutar ki tarah
dekh wo aandhi mein uDta ek par mera bhi hai

panw tere raste tere safar tera magar
kyun pasine mein badan phir tar-ba-tar mera bhi hai

dard ki wadi mein aahon ka mohalla hai jahan
bas wahin pahli saDak par ek ghar mera bhi hai

yun na ho main baiTh jaun teri paichal ke baghair
dhup mein sahra ki uktaya safar mera bhi hai

kaisa pagal-pan ki us ke shahr mein deni hai jaan
ab kahan hun main akela ham-safar mera bhi hai

ek uchaTti si nazar KHali mohabbat ki nazar
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai

sath honge hum to sach mein phul khilte jaenge
aap ka hi bas nahin tanha safar mera bhi hai

KHud se bhi milta nahin main tujh gale milne ke baad
sath rakhne mein teri KHushbu hunar mera bhi hai

jab bhi kuchh main ne kaha kyun aap tak pahuncha nahin
aap ka qasid yaqinan nama-bar mera bhi hai