اردو हिंदी
Yun hasraton ki gard mein tha dil aTa hua | Shaahi Shayari
yun hasraton ki gard mein tha dil aTa hua

Ghazal

Yun hasraton ki gard mein tha dil aTa hua

Zia Fatehabadi

;

yun hasraton ki gard mein tha dil aTa hua
jaise daraKHt se koi patta gira hua

ho hi gaya hai nabz-shanas-e-gham-e-jahan
sine mein ishq ke mera dil kanpta hua

milta suragh-e-KHak mujhe mere sae ka
har samt zulmaton ka tha jangal uga hua

kal raat KHwab mein jo muqabil tha aaina
mera hi qad mujhe nazar aaya baDha hua

jaane bhi do wo chand nahin hoga koi aur
pamal aadmi jo hua chand kya hua

bahar ke shor-o-ghul hi se shayad wo bol uThe
baiTha hai kab se chup koi andar chhupa hua

panchhi uDa to KHatm bhi ho jaega 'ziya'
sanson ke aane-jaane ka tanta bandha hua