yun guzar raha hai din kitne imtihanon se
saya saya utri hai dhup aasmanon se
kyun kahen kisi se hum kaun si hawa thi wo
raushni chura kar jo le gai makanon se
aaj apni miTTi se is tarah main bichhDi hun
jis tarah bichhaDte hain log KHandanon se
lag chuki hai honTon par jin ke mohr-e-KHamoshi
hum sawal kya karte aise be-zabanon se
bas unhi ki taswiren ab wahan munaqqash hain
aaine uTha lae jo nigar-KHanon se
Ghazal
Yun guzar raha hai din kitne imtihanon se
Nusrat Mehdi