yun elaj-e-dil bimar kiya jaega
sharbat-e-did se sarshaar kiya jaega
hasrat-e-did mein binai ganwa baiThe jo
us se kaise tera didar kiya jaega
so raha hun main zamane se tera KHwab liye
nind se kab mujhe bedar kiya jaega
TuT jaega bharam pariyon ki shahzadi ka
jab tere husn ko shahkar kiya jaega
KHud-kushi ki KHabar aKHbar ki surKHi hogi
qatl mujh ko pas-e-diwar kiya jaega
main sadaqat hun mujhe maut nahin aaegi
waise maslub kai bar kiya jaega
in charaghon ke tabassum mein lahu hai mera
kab hawaon ko KHabar-dar kiya jaega
dil ke jazbaat jawan aur bhi ho jaenge
meri rahon ko jo dushwar kiya jaega
honge sharminda manadir ke kalas bhi 'afzal'
kisi masjid ko jo mismar kiya jaega
Ghazal
Yun elaj-e-dil bimar kiya jaega
Afzal Allahabadi