yun boli thi chiDiya KHali kamre mein
jaise koi nahin tha KHali kamre mein
har pal mera rasta dekha karta hai
jaane kis ka saya KHali kamre mein
khiDki ke raste se laya karta hun
main bahar ki duniya KHali kamre mein
har mausam mein aate jate rahte hain
log hawa aur dariya KHali kamre mein
chehron ke jangal se le kar aaya hun
surKH gulab ka pauda KHali kamre mein
basti mein har raat nikalne wala chand
umr hui na utra KHali kamre mein
tez hawa mein sare kuze TuT gae
aur phaila ek sahra KHali kamre mein
'sahil' shahr se dur akela rahta hai
jaise main hun rahta KHali kamre mein
Ghazal
Yun boli thi chiDiya Khaali kamre mein
Zeeshan Sahil