yun bhi to teri rah ki diwar nahin hain
hum husn-e-talab ishq ke bimar nahin hain
ya tujh ko nahin qadr ham-ashufta-saron ki
ya hum hi mohabbat ke saza-war nahin hain
kya hasil-e-kar-e-gham-e-ulfat hai ki majnun
ab dasht-nawardi ko bhi tayyar nahin hain
aksar mere sheron ki sana karte rahe hain
wo log jo ghaalib ke taraf-dar nahin hain
ab tujh ko salam ai gham-e-jaanan ki jahan mein
kya hum se diwanon ke KHaridar nahin hain
phir tujh se juda ho ke kahin KHud se bichhaD jaen
hum log kuchh aise bhi dil-azar nahin hain
Ghazal
Yun bhi to teri rah ki diwar nahin hain
Taleef Haidar