yun bhi tera ehsan hai aane ke liye aa
ai dost kisi roz na jaane ke liye aa
har-chand nahin shauq ko yara-e-tamasha
KHud ko na sahi mujh ko dikhane ke liye aa
ye umr, ye barsat, ye bhigi hui raaten
in raaton ko afsana banane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi bahane se na jaane ke liye aa
mana ki mohabbat ka chhupana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa
taqdir bhi majbur hai, tadbir bhi majbur
is kohna aqide ko miTane ke liye aa
aariz pe shafaq, daman-e-mizhgan mein sitare
yun ishq ki tauqir baDhane ke liye aa
'talib' ko ye kya ilm, karam hai ki sitam hai
jaane ke liye ruTh, manane ke liye aa
Ghazal
Yun bhi tera ehsan hai aane ke liye aa
Talib Baghpati