اردو हिंदी
Yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya | Shaahi Shayari
yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya

Ghazal

Yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya

Hameed Almas

;

yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya
main akela tha akela rah gaya

hijr mein hai kaun kitna be-qarar
lekin in baaton mein ab kya rah gaya

maslahat kafir thi baz aai nahin
dil wo nadan tha ki rota rah gaya

saqi-e-umr-e-do-roza yaad rakh
meri jaanib se taqaza rah gaya

chaarasazo bhul jaunga use
ab sunao zaKHm kitna rah gaya

zindagi kuchh is tarah kaTti gai
jaise koi hath malta rah gaya

bhiD tanhai ki chhuTti hi nahin
har taraf chehra hi chehra rah gaya

maut kya aati bichhaD kar dost se
dekh lo 'almas' zinda rah gaya