yun bhi hone ka pata dete hain
apni zanjir hila dete hain
pahle har baat pe hum sochte the
ab faqat hath uTha dete hain
qafila aaj kahan Thahrega
kya KHabar aabla-pa dete hain
baz-auqat hawa ke jhonke
lau charaghon ki baDha dete hain
dil mein jab baat nahin rah sakti
kisi patthar ko suna dete hain
ek diwar uThane ke liye
ek diwar gira dete hain
sochte hain sar-e-sahil 'baqi'
ye samundar hamein kya dete hain
Ghazal
Yun bhi hone ka pata dete hain
Baqi Siddiqui