yun bhi guzri hain meri sham-o-sahar pani mein
ashk ban ban ke baha KHun-e-jigar pani mein
kya Daraenge ye aafat-e-zamana hum ko
hum bana lete hain jab rah-e-safar pani mein
saKHt se saKHt bhi patthar na raha phir patthar
akasr aaya hai nazar aisa asar pani mein
tum isi taur mere dil mein raha karte ho
jis tarah rahta hai poshida guhar pani mein
jazba-e-shauq-o-tasawwur ki badaulat akasr
dekhta rahta hun main aks-e-qamar pani mein
KHwahish-e-aish-o-tarab kyun ho zamane ki use
zindagi hoti rahi jis ki basar pani mein
raushni deti wo kaise rah-e-ulfat pe 'rais'
sham-e-ummid jalai thi magar pani mein

Ghazal
Yun bhi guzri hain meri sham-o-sahar pani mein
Raees Narvi