ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha
is raat ki taqdir sanwar jae to achchha
jis tarah se thoDi si tere sath kaTi hai
baqi bhi usi tarah guzar jae to achchha
duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya
ye bojh agar dil se utar jae to achchha
waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai
ilzam kisi aur ke sar jae to achchha
Ghazal
Ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha
Sahir Ludhianvi