ye wo safar hai jahan KHun-baha zaruri hai
wahi na dekhna jo dekhna zaruri hai
badalti samton ki tariKH likh raha hun main
har ek moD pe ab hadsa zaruri hai
nuqush chehron ke alfaz bante jate hain
kuchh aur is se ziyaada bhi kya zaruri hai
ye sone wale tujhe sangsar kar denge
ye kah ke dekh kabhi jagna zaruri hai
andheri raat mein us rahguzar par yaro
meri tarah se ye jalta diya zaruri hai
jahan jahan se main guzrun udas raaton mein
wahan wahan teri aawaz-e-pa zaruri hai
bahut si baaten zaban se kahi nahin jatin
sawal kar ke use dekhna zaruri hai
Ghazal
Ye wo safar hai jahan KHun-baha zaruri hai
Fasih Akmal