اردو हिंदी
Ye uski marzi ki main us ka intiKHab na tha | Shaahi Shayari
ye uski marzi ki main us ka intiKHab na tha

Ghazal

Ye uski marzi ki main us ka intiKHab na tha

Hashim Raza Jalalpuri

;

ye us ki marzi ki main us ka intiKHab na tha
wagarna mere muqaddar mein kya janab na tha

kuchh is liye tere gulshan se main palaT aaya
tamam phul wahan the magar gulab na tha

bichhaDte waqt hamare labon mein chubhne lage
sawal aise ki jin ka koi jawab na tha

jise bhi chaha use be-hisab chaha ki
hamare dil mein miyan shoaba-e-hisab na tha

gulu-e-KHushk se tir-e-sitam ko toD diya
ye bachpane ka tha aalam abhi shabab na tha

main ek zamane mein 'hashim-raza' payambar tha
mohabbaton ka magar sahib-e-kitab na tha