ye umr musibat ki basar ho ke rahegi
jab sham hui hai to sahar ho ke rahegi
afsurdagi-e-dil gul-e-tar ho ke rahegi
aah-e-sahari baad-e-sahar ho ke rahegi
KHud un ke taghaful ki inayat se kisi din
un ko meri haalat ki KHabar ho ke rahegi
wo barq-e-tajalli jo abhi kaba-e-dil hai
ek rose wo masjud-e-nazar ho ke rahegi
ya qabil-e-sajda hi rahega na dar-e-husn
ya meri jabin qabil-e-dar ho ke rahegi
sairab nazar hogi meri ya gul-e-tar se
ya KHatm bahaar-e-gul-e-tar ho ke rahegi
ab un ki jafaen nazar-andaz na hongi
ab meri wafa madd-e-nazar ho ke rahegi
jo ghaflat-e-azadi-e-gulshan mein kaTegi
us raat ki zindan mein sahar ho ke rahegi
Ghazal
Ye umr musibat ki basar ho ke rahegi
Bismil Saeedi