ye umar-e-hijr agar sarf-e-intizar na ho
to waqai mujhe hasti pe e'tibar na ho
mujhe nahin hai agar in pe iKHtiyar na ho
unhen bhi ye dil-e-betab sazgar na ho
wahan wo KHush ki mujhe un se kuchh gila hi nahin
yahan ye pas kahin raaz aashkar na ho
raha-saha bhi dil-e-zar ka qarar gaya
wo bar-bar ye kahte hain be-qarar na ho
har ek daman-e-gul par falak ke aansu hain
KHizan ki maut se yun zinat-e-bahaar na ho
jafa hui na wafa ab wo sikhte hain haya
KHuda kare ye irada bhi ustuwar na ho
na gaen ishq ke naghme jo bulbulen 'talib'
chaman mein gul na khilen mausam-e-bahaar na ho

Ghazal
Ye umar-e-hijr agar sarf-e-intizar na ho
Talib Baghpati