ye udasi ye phailte sae
hum tujhe yaad kar ke pachhtae
mil gaya tha sakun nigahon ko
ki tamanna to ashk bhar aae
gul hi ukta gae hain gulshan se
baghban se kaho na ghabrae
hum jo pahunche to rahguzar hi na thi
tum jo aae to manzilen lae
jo zamane ka sath de na sake
wo tere aastan se lauT aae
bas wahi the mata-e-dida-o-dil
jitne aansu mizha talak aae
Ghazal
Ye udasi ye phailte sae
Zehra Nigaah