ye TuTi kashtiyan aur bahr-e-gham ke tez dhaare hain
kinaron se hain ummiden na maujon ke sahaare hain
nahin malum kya kya rang badlegi abhi duniya
nigah-e-waqt ke ai dil bahut nazuk ishaare hain
mere aansu to jazb-e-KHak ho kar rah gae kab ke
daraKHshan un ki palkon par abhi tak kuchh sitare hain
hamari aur tumhaari zindagi mein farq hi kya hai
wahi baaten tumhaari hain wahi qisse hamare hain
ibarat hai unhin se dastan-e-zindagi 'muztar'
kisi ki yaad mein jo zindagi ke din guzare hain
Ghazal
Ye TuTi kashtiyan aur bahr-e-gham ke tez dhaare hain
Ram Krishn Muztar

