اردو हिंदी
Ye tumne panw kya rakkha hua tha | Shaahi Shayari
ye tumne panw kya rakkha hua tha

Ghazal

Ye tumne panw kya rakkha hua tha

Waseem Tashif

;

ye tum ne panw kya rakkha hua tha
zamin ne hausla rakkha hua tha

parindon se hamari dosti thi
shajar se wasta rakkha hua tha

tabhi hum ji rahe the KHush-dili se
ki tum ne rabta rakkha hua tha

ba-zahir lag rahi thi inT lekin
saDak par hadisa rakkha hua tha

kisi ne ghar baDe rakkhe hue the
kisi ne dil baDa rakkha hua tha

teri nisbat se sab kuchh mil raha tha
wagarna mujh mein kya rakkha hua tha

hawa-e-aKHir-e-shab ne diyon se
suluk-e-narawa rakkha hua tha