اردو हिंदी
Ye tamanna hai ki is tarah musalman hota | Shaahi Shayari
ye tamanna hai ki is tarah musalman hota

Ghazal

Ye tamanna hai ki is tarah musalman hota

Fana bulandshahri

;

ye tamanna hai ki is tarah musalman hota
main tere husn pe sau jaan se qurban hota

aalam-e-josh-e-junun mein jo ada hoti namaz
sar mera sar kahan hota dar-e-jaanan hota

kuchh tamanna hai to bas ye hai mohabbat mein mujhe
mere hathon mein mere yar ka daman hota

tu agar apna bana leta mujhe mere sanam
kyun mohabbat mera chaak-e-gareban hota

sab karishma hai faqat rang-e-dui ka warna
mazhab-e-pir-e-mughan mushrib-e-rindan hota

na dikhate mujhe jalwa magar itna karte
aap ka gham meri taskin ka saman hota

tham kar main tere daman ka 'fana' ho jata
kash is tarah mukammal mera iman hota