اردو हिंदी
Ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main | Shaahi Shayari
ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main

Ghazal

Ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main

Mazhar Imam

;

ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main
ki KHud ko yaad rakhun us ko bhul jaun main

usi se puchh ke dekhun wo mera hai ki nahin
ab aur kitna fareb-e-jamal khaun main

wo be-libas sahi jama-zeb kitna hai
mah-e-KHayal ko poshak kya pahnaun main

wo pul kahan hai jo duniya se joDta tha mujhe
jo tu qarib ho sab se qarib aaun main

kabhi to ho mere ehsas-e-kam-tari mein kami
kabhi to ho ki use khul ke yaad aaun main

wo shaKHs hai ki nasim-e-sahar ka jhonka hai
bikhar hi jaun jo us ko gale lagaun main

azan ke baad dua ko jo hath uThae wo
'imam' apni namazen bhi bhul jaun main