ye sust hai to phir kya wo tez hai to phir kya
natiwe jo hai to phir kya angrez hai to phir kya
rahna kisi se dab kar hai amn ko zaruri
phir koi firqa haibat-angez hai to phir kya
ranj o KHushi ki sab mein taqsim hai munasib
babu jo hai to phir kya changez hai to phir kya
har rang mein hain pate bande KHuda ke rozi
hai painter to phir kya rangrez hai to phir kya
jaisi jise zarurat waisi hi us ki chizen
yan taKHt hai to phir kya wan mez hai to phir kya
mafqud hain ab is ke sunne samajhne wale
mera suKHan nasihat-amez hai to phir kya
Ghazal
Ye sust hai to phir kya wo tez hai to phir kya
Akbar Allahabadi