اردو हिंदी
Ye surmai fazaon ki kunmunahaTen | Shaahi Shayari
ye surmai fazaon ki kunmunahaTen

Ghazal

Ye surmai fazaon ki kunmunahaTen

Firaq Gorakhpuri

;

ye surmai fazaon ki kunmunahaTen
milti hain mujh ko pichhle pahar teri aahaTen

is kaenat-e-gham ki fasurda fazaon mein
bikhra gae hain aa ke wo kuchh muskurahaTen

ai jism-e-naznin-e-nigar-e-nazar-nawaz
subh-e-shab-e-visal teri malgujahaTen

paDti hai aasman-e-mohabbat pe chhuT si
balbe jabin-e-naz teri jagmagahaTen

chalti hai jab nasim-e-KHayal-e-KHiram-e-naz
sunta hun damanon ki tere sarsarahaTen

chashm-e-siyah tabassum-e-pinhan liye hue
pau phuTne se qabl ufuq ki adahaten

jumbish mein jaise shaKH ho gul-ha-e-naghma ki
ek paikar-e-jamil ki ye lahlahahaTen

jhonkon ki nazr hai chaman-e-intizar-e-dost
yaad-e-ummid-o-bim ki ye sansanahaTen

ho samna agar to KHajil ho nigah-e-barq
dekhi hain uzw uzw mein wo achpalahaTen

kis des ko sidhaar gain ai jamal-e-yar
rangin labon pe khel ke kuchh muskurahaTen

ruKHsar-e-tar se taza ho bagh-e-adan ki yaad
aur us ki pahli subh ki wo rasmasahaTen

saz-e-jamal ki ye nawa-ha-e-sarmadi
joban to wo farishte sunen gungunahaTen

aazurdagi-e-husn bhi kis darja shoKH hai
ashkon mein tairti hui kuchh muskurahaTen

hone laga hun KHud se qarin ai shab-e-alam
main pa raha hun hijr mein kuchh apni aahaTen

meri ghazal ki jaan samajhna unhen 'firaq'
sham-e-KHayal-e-yar ki ye thartharahaTen