ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
masruf hum bahut hain magar be-KHabar nahin
ab to KHud apne KHun ne bhi saf kah diya
main aap ka rahunga magar umr bhar nahin
aa hi gae hain KHwab to phir jaenge kahan
aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin
kitna jien kahan se jien aur kis liye
ye iKHtiyar hum pe hai taqdir par nahin
mazi ki rakh ulTin to chingariyan milin
be-shak kisi ko chaho magar is qadar nahin
Ghazal
Ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
Aalok Shrivastav