ye soch ke rakh ho gaya hun
main sham se subh tak jala hun
jis dil mein panah DhunDhta tha
ab us se panah mangta hun
pahle bhi KHuda ko manta tha
aur ab bhi KHuda ko manta hun
wo jag raha ho shayad ab tak
ye soch ke main bhi jagta hun
ai mera KHayal rakhne wale
kya main tere zehn mein basa hun
marta hun ki mar-miTunga aaKHir
jine ko to umr-bhar jiya hun
har shaKHs bichhaD chuka hai mujh se
kya jaaniye kis ko DhunDhta hun
hai mujh se hi zindagi ibarat
main zist ka talKH tajraba hun
kya samjhega koi mujh ko 'sabir'
main zat se apni mawara hun
Ghazal
Ye soch ke rakh ho gaya hun
Sabir Zafar