ye silsile bhi rifaqat ke kuchh ajib se hain
ki dur dur ke manzar bahut qarib se hain
qaba-e-zar hai ana ki agarche zeb-e-badan
magar ye ahl-e-hunar dil ke sab gharib se hain
yahan to sab hi ishaaron mein baat karte hain
ajib shahr hai is ke makin ajib se hain
main zindagi mein marungi na jaane kitni bar
mujhe KHabar hai ki rishte mere salib se hain
ye aur baat ki us ki chahak se khilta hai
hazar shikwe magar gul ko andalib se hain
use to apni KHabar bhi yahan nahin milti
umiden tum ko bahut jis alam-nasib se hain
Ghazal
Ye silsile bhi rifaqat ke kuchh ajib se hain
Shabnam Shakeel