اردو हिंदी
Ye shahr ye KHwabon ka samundar na bachega | Shaahi Shayari
ye shahr ye KHwabon ka samundar na bachega

Ghazal

Ye shahr ye KHwabon ka samundar na bachega

Ezaz Afzal

;

ye shahr ye KHwabon ka samundar na bachega
jab aag lagegi to koi ghar na bachega

ya naqsh ubhaaro koi ya aks ko pujo
shishe ko bachaoge to patthar na bachega

ehsas-e-rqabat se jabinon ko bachao
Takraenge sajde to koi dar na bachega

ai nind chhupe rahne de do-chaar nazare
jab aankh khulegi koi manzar na bachega

maqtal ki siyasat na hamari na tumhaari
tafriq karoge to koi sar na bachega