اردو हिंदी
Ye sard raat koi kis tarah guzarega | Shaahi Shayari
ye sard raat koi kis tarah guzarega

Ghazal

Ye sard raat koi kis tarah guzarega

Rais Farogh

;

ye sard raat koi kis tarah guzarega
hawa chali to lahu ko lahu pukarega

ye sochte hain ki is bar hum se milne ko
wo apne baal kis andaz mein sanwarega

shikayaten hi karega ki KHud-gharaz nikle
wo dil mein koi bullet to nahin utarega

yahi bahut hai ki wo KHud nikharta jata hai
kisi KHayal ka chehra to kya nikhaarega

yahi bisat agar hai to ek rose 'farogh'
jo hum se jit chuka hai wo hum se haarega