اردو हिंदी
Ye samundar hai kinare hi kinare jao | Shaahi Shayari
ye samundar hai kinare hi kinare jao

Ghazal

Ye samundar hai kinare hi kinare jao

Kaleem Aajiz

;

ye samundar hai kinare hi kinare jao
ishq har shaKHs ke bas ka nahin pyare jao

yun to maqtal mein tamashai bahut aate hain
aao us waqt ki jis waqt pukare jao

dil ki bazi lage phir jaan ki bazi lag jae
ishq mein haar ke baiTho nahin haare jao

kaam ban jae agar zulf-e-junun ban jae
is liye is ko sanwaro ki sanware jao

koi rasta koi manzil ise dushwar nahin
jis jagah chaho mohabbat ke sahaare jao

hum to miTTi se ugaenge mohabbat ke gulab
tum agar toDne jate ho sitare jao

Dubna hoga agar Dubna taqdir mein hai
chahe kashti pe raho chahe kinare jao

tum hi socho bhala ye shauq koi shauq hua
aaj unchai pe baiTho kal utare jao

maut se khel ke karte ho mohabbat 'ajiz'
mujh ko Dar hai kahin be-maut na mare jao