ye sail-e-ashk mujhe guftugu ki tab to de
jo ye kahun ki wafa ka meri hisab to de
bhari bahaar-ruton mein bhi KHar le aai
ye intizar ki Tahni kabhi gulab to de
nahin nahin main wafa se kinara-kash to nahin
wo de raha hai mujhe hijr ka azab to de
ye KHamushi to qayamat ki jaan lewa hai
wo dil dukhae magar baat ka jawab to de
har ek waqia tariKH-dar likh jaun
gae dinon ki mere hath wo kitab to de
ye dekh kis gul-e-tar par nigah Thahri hai
na de wo phul mujhe dad-e-intiKHab to de
gunahgar sahi phir bhi mere hisse ka
teri taraf jo nikalta hai wo sawab to de

Ghazal
Ye sail-e-ashk mujhe guftugu ki tab to de
Sabiha Saba